Allah Allah Kya Hai Jalwa Baba Tajuddin Ka
Allah Allah Kya Hai Jalwa Baba Tajuddin Ka
Allah Allah kya hai jalwa Baba Tajuddin ka,
Jo bhi dekho, woh hai shaida Baba Tajuddin ka.
Kyun na zamana hoga deewana Baba Tajuddin ka,
Shah-e-Najaf hain nana-dada Baba Tajuddin ka.
Tangdasti uske ghar mein aa nahin sakti kabhi,
Mil gaya hai jisko sadqa Baba Tajuddin ka.
Unse rehti hain balaayein khud hamesha door-door,
Hai saron par jinke saaya Baba Tajuddin ka.
Nani-dadi yaad aati hai ooncha udne walon ko,
Jab padta hai peeth par koda Baba Tajuddin ka.
Mil jaati thi ranj-o-alam se rahat sunne walon ko,
"Hoji Bawa" wala jumla Baba Tajuddin ka.
Tu bata ya na bata, sabko hai Amjad yeh khabar,
Tu hai aashiq bhola-bhala Baba Tajuddin ka.
Comments
Post a Comment